ggg

Thursday, 21 December 2017

Shayari

Reh na paoge bhula kar dekh lo,
Yakin na aaye to aajzma kar dekh lo,
Har jagah mehsus hogi meri kami,#BaaLLi
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo

___________________________________________

Teri dhadkan hi zindagi ka kissa hai mera,
tu zindagi ka ek ahem hissa hai mera,
ye mohabbat tujhse sirf lafzo ki nahin hai,
teri rooh se rooh tak ka rishta hai mera..!

#BaaLLi

___________________________________________

Nibha Sakta Hoon Main Tamam Umar Sath Tera, ,,,,
Mgr Aapni Zindagi Pr aitbar Nhi, ,,,,
Mere Marne Pr Bhi Rahogi Tum Pass Mere, ,,,,
Mgr Hoonge Us Waqt Hum Tumhare Sath Nhi!!!!

#BaLLI

___________________________________________

Palko mein aansu Aur dil mein dard soya hain....
Hasne walo ko kya pata Rone wala kis kadar roya hai...
Ye to bas wohi jaan sakta hai Meri tanhayi ka alam,,,,
Jisne zindagi mein kisi ko Pane se pehle khoya hai….!!!!!

___________________________________________

No comments:

Post a Comment