ggg

Friday, 8 December 2017

Dhuaan bana kay fiza main ura diya mujh ko
MAin jal raha tha kisi nay bhuja diya mujh ko

KAhara hoon aaj bhi roti kay char harf liyay
Sawal yeah hai kay kitaabon nay kia diya mujh ko

Safaid rang ki chadar lapait kar mujh par
Faseel-e shehar par kisi nay saja diya mujh ko

MAin eik zara bulandi ko choonay nikla tha
HAwa nay tham kay zameen par gira diya mujh ko

No comments:

Post a Comment